Tuesday, February 21, 2012

Miss my country :(

Teri amrit bhari lehro ko kya maloom ganga maa,
Samundaar paar, viraane mein teri yaad aati hai,


Ke har ek khaali pade alind mein teri yaad aati hai,
Subah ke khwaab ke malind teri yaad aati hai,

Kahin dollar ke peeche chup gaye Bharat ke noton par…
Dikhe Gandhi ki jo moorat to teri yaad aati hai,  

Agar mausam ho manubhawan to teri yaad aati hai,  
Jhare meghon se jab saawan to teri yaad aati hai,  

"Hello-Hey-Hi" sun kar nahi aati magar humse ...
Koi kehta hai jab JAI HIND, teri yaad aati hai

Courtesy: Kumar Vishwas

No comments: